Food Poisoning ko door karne ke gharelu nuskhe
Food Poisoning ko door karne ke liye gharelu nuskhe aur upay kya hain? Aaj kal ke samay mein chahe college ho ya office, Lunch time mein young generation canteen mein hi jyada dikhayi dete hain. Iska karan yeh hain ki jyadatar youngster chatar-patar khana pasand karte hain. Jab in logo se iska karan pucha jata hain to veh kahte hain ki unhe khana banane ka time hi nahi milta hain ya phir ghar ka khana kha kar bore ho gye hain. Bahana chahe jo bhi ho lekin yeh khana pet ko kafi bhaari pad jata hain aur logo ko food poisoning ho jati hain.
Food Posioning ho jane par samajh lijiye ki aapki to 48 hours tak chhutti ho gyi. Baarish ke mausam mein yeh problem jyada hoti hain, kyonki khana jaldi kharaab ho jata hain. Yadi aap bhi bahar ka khana jyada khate hain, To aaiye jante hain kuch aise cheezo ke baare mein jinhe khane se food poisoning ko door kiya ja sakta hain aur yeh problem jaldi theek ho jati hain.
1) Dahi :- Dahi ek Antibiotic hain, Jo food poisoning ho jane par jaroor lena chahiye. Isse yeh samsya jaldi theek ho jati hain.
2) Anar :- Anar ka juice diarrhea bhagane ke liye accha hota hain. Iske alawa Anar ke ped ki chhal bhi pet ki kai bimariyo ko theek karne mein madadgar hoti hain.
3) Black aur Green Tea :- Black aur Green tea peene se rahat milti hain. Isme Anti-Oxidants tatv paye jate hain, Jo sharir se zeharleele tatvo ko bahar nikalte hain.
4) Kela :- Kele mein Potassium hota hain, Isliye yeh ulti aur dast se rahat dilata hain.
5) Jeera :- Jeera ek aisa food hain jise food poisoning ke liye sabse best medicine mana jata hain. Jeera khane se sujan kam hoti hain. 1 Chammach bhoona Zeera khane se food poisoning ki problem mein turant rahat milti hain.
6) Aloe Vera Juice :- Aloe Vera ka juice digestion mein help karta hain. Jab bhi kabhi aisi problem ho jaye to aadha cup Aloe vera ka juice pee le.
7) Pudina :- Is bimari mein aapko Pudine ke ras ka sewan karna chahiye.
8) Adrak :- Adrak ek natural Antibiotic hain, Jo food poisoning ki samsya mein Ramban aushidhi hain. Aap chahe to iski chaaye bhi pee sakte hain ya phir khane mein istemal kar sakte hain.
9) Methi Dana :- 1 Chota chammach methi dana aadha cup paani mein bhigo de. Aadhe ghante ke baad paani ko chhan kar methi ko thoda-thoda kar pure din khayiye. Isse food poisoning ke karan hone wali samsyaen door ho jayengi.
10) Nimbu :- Nimbu mein kai aise saare acid paye jate hain, Jo khane ko jaldi pacha dete hain. Nimbu pet mein pal rahe bacteria ko bhi marta hain. Is liye is samsya mein Nimbu paani peena bahut hi faydemand hota hain.
11) Apple Cider Vinegar :- Food Poisoning hone par 1 Chammach Apple Cider Vinegar le. Isse pet ki problem bahut jaldi theek ho jati hain.
12) Brown Sugar :- Brown Sugar food poisoning ke karan aayi kamjori ko door karne ki ramban dawaa hain. Food poisoning ke karan jab aap kamjori mahsoos kare to ek chammach Brown Sugar kha le. Isse energy milegi. Brown Sugar ka matlab Drugs wala Brown Sugar nahi hain. Iska matlab bhoori shakkar ya Gud ki bani jo shakkar hoti hain, Usse hain. Kanhi aap galat matlab na samjhe.
13) Tulsi :- Tulsi pet ki problems mein sabse behatrin medicine hain. Tulsi se bani tea piye. Tulsi ke patto ke ras ki kuch boonde le. Isse bhi food poisoning ke karan hone wali problems khatm ho jati hain.